Aadil HussainSyahi
@ah801947Writing since 3 months
- Posts
- 2
- Followers
- 40
- Following
- 0
- Likes
- 270
dCoins72
Aadil HussainSyahi@ah801947 · · MonologueA ah801947 Monologue
Wah re zamane ke thekedaaron, billi ko chuhe ka chowkidar bana diya! Aaj ka ladka char biwiyon ka bhar utha sakta hai, par dusra nikaah bola nahi ki fatwa taiyaar iski niyat kharab hai. Aur purane Peer-Waliyon ke 6-7 nikaah? Waha to sar jhuka ke tasleem. Doglapan ka chashma sabse mehanga bikta hai.
Starring @ah801947
Aadil HussainSyahi@ah801947 ·A Dialogbaaz line
Billi ko banaya chuhe ka chowkidar!" — Aaj ke Momin Vs Purane Peer-WaliBhaiya, aajkal ke kuch "mominon" ka chashma bada kamaal ka hai! Chashme ka ek shisha 'hypocrisy' (doglapana) ka hai aur dusra 'double standard' ka.Scenario 1: Aaj ka ladkaEk ladka hai, jeb me itna paisa hai ki do nahi, char biwiyon ka kharcha haskar utha le. Lekin jaise hi wo dusre nikaah ki baat karta hai, hamare samaj ke "dhongi momin" bade-bade fatwe taiyar kar lete hain!"Iski to niyat kharab hai!""Ye to neech hai, lafanga hai!""Zamana kharab hai bhai, iski nazrein kharab hain!"Matalb ladka capable hai, phir bhi gunahgaar ban gaya!Scenario 2: Purane Peer-WaliAb chashma badlo aur purane zamane me chalo. Wahan Peer-Waliyon ne 6-7 nikaah kiye hote hain. Lekin wahan yehi dhongi momin bade fakhra se kehte hain: "Arey bhai, unhone to mazloom, gareeb aur be-asra aurton ko zamane me izzat dilane ke liye nikaah kiya tha!"
Starring @ah801947