sd2979142 presents
Wo baatein jinhe hum keh nahi sakte, aksar wahi baatein hamare gale mein chubhne lagti hain.
Na chahte hue bhi aansu bankar, thehar-thehar kar barasne lagti hain- mano zabt ki zanjeer mein dheere- dheere darar padne lagi ho. Aur phir wahi ankahi baatein waqt ke saath zindagi ka nasoor ban jaati hain... ek aisa nasoor, jo sirf dil ko nahi, balki poori zindagi ko andar hi andar kha jahta hai By Sofiya..... princess
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
Related
View allSofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
Kabhi khud se bhi do pal mulaqat kar liya karo,
Duniya ki awaazon se thoda kinaara kar liya karo.
Har sawaal ka jawaab zamaane se nahi milta,
Kuch raaste dil ke andar bhi khulte hain.
Jo sukoon khud ko samajhne mein mil jaaye,
Woh kisi aur ki tasalli mein kahaan milta hai. β¨Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
Khuda kare tera miha dobara ho, Hum ho saath aur samandar ka kinara ho, Tez hawaon mein bikhrein teri zulfen, Aur unhe sanwarne wala haath hamaraππ
Teri aankhon mein doobne ka nazara ho, Meri har dhaakan pe bas tera ishara ho, Lehron ki sargam ho, chaandni ka pehra ho,πππ
Tu paas baithe toh waqt bhi thehra ho. Na dooriyon ka darr ho, na judai ka andhera ho,πππ
Bas tere ishq ka har taraf savera ho, Har khamoshi mein bhi mohabbat ka fasana ho,πππ
Aur tere saath har lamha suhana ho. Khuda kare wahi haseen sama dobara ho, Tu sirf meri ho, aur main sirf tumhara ho.πππStarring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
Kuch rang khud bharne padte hain zindagi mein,
Har khushi naseeb se mile, zaroori toh nahi.
Kabhi aansuon se bhi tasveer nikhar jaati hai,
Kabhi haar hi jeet ki wajah ban jaati hai.
Har din ek naya rang lekar aata hai,
Bas jeene ka andaaz apna hona chahiye. β¨Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
Sabke saamne mazboot ban kar rehti hai, par kabhi-kabhi chhoti si baat bhi uske dil ko chhoo jaati hai.
Gussa jaldi aa jaata hai, magar aankhon mein aansu bhi chupke se aa jaate hain. Har kisi ki fikr karti hai, sabko sambhaal leti hai, par apni pareshaniyan aksar khud mein hi chhupa leti hai.
Ziddi hai, apni baat par ad jaati hai, par dil se bahut naram hai. Khush dikhti hai sabke liye, lekin kabhi-kabhi bina wajah bhi khud se hi ladti rehti hai.
Use bhi bas itna sa pyaar chahiye koi uski khamoshi samjhe, use bina kahe gale laga le, aur kahe... "Tum bhi thak sakti ho."Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
"Kitna toota hua hoga woh insaan jisne yeh likha:
Main nahi chahta ki meri poori zindagi sirf logon ko chhodte hue guzar jaaye.
Ek baar bas koi aisa mile, jo mere liye lade.. jo mujhe jaan bujkar chune...
aur mujhe yeh mehsoos karaye ki main kisi ke rukne ke layak hoon."Starring @sd2979142
Sofiya..... princessDialogbaaz
@sd2979142 Β·
A Dialogbaaz line
Kuch raaste manzil tak nahi, khud se milne tak le jaate hain,
Kuch log zindagi mein aakar bhi yaadon mein reh jaate hain.
Har muskurahat ke peeche khushi ho, zaroori toh nahi,
Kuch khamosh chehre bhi hazaar kahaniyan suna jaate hain.
Ab na kisi se shikayat hai, na waqt se koi sawaal,
Bas khud ko samajhne mein guzar raha hai har ek khayaal. π₯Starring @sd2979142
Suruchi ShriNigamAawaz
@suruchishrin Β·
A Dialogbaaz line
#EK NEK SALAHA#
#YADI BHOOLVAS GALAT RAAH PAR CHAL PADE #TO JIS SAMAY YE #EHSAAS HOTA HAI USI PAL US GALAT RAAH PAR AUR #AAGE BADHNA THEEK NA HOTA HAI KYONKI HUME #HUMARI ANTAR AATMA HUMARE HAR PAL SATH HOTI HAI AUR JAB USE LAGTA HAI KI AB MUJHE ISE SACHET KARNE KI #JAROORAT HAI USI PAL #SATH NIBHATE HUYE SACHET KARTI HAI BAS YE HUMARE UPAR HAI KI HUM #DUNIYA KI SUNTE SUNTE APNI ANTAR AATMA KI SUN KE #SAMAJHTE HAI YA ANDEKHA KAR DETE HAI#
#EK SACHCHAI HUMARI ANTAR AATMA SE JYADA #BEHTAR HUME NA TO KOI #SAMJHTA HAI AUR NA HI #PARWAH KAR SAKTA HAI# βΊοΈStarring @suruchishrin
team_of_13Creator
@team_of_13 Β·
A Dialogbaaz line
....CONTINUE...
ANSULAJI DILO KI BANDISH HAI PYAAR...
KABHI YADOON MAIN WAQT AISE THAR JATA HAI KE NA DIN KA NA RAAT KA PATA CHALTA HAIN....
TOH KABHI JAGTE HUA BHI NIND KA AHESHASH HOTA HAN...
TOH KABHI NIND MAIN JAGTE HUA KA AHESHASH HOTA HAIN....
YEH ANSULAJI DILO KI BANDISH AISI HAIN KE KUDKO HI KUD KA HOSH UDA DETA HAI YEH PYAAR...
NEXT LINE CONTINUE....WAIT...
HAVE A NICE NICE NIGHT AHEAD AND HAVE SWEET DREAMS...
LOVE U ALL FROM....
BOTTOM OF MY
β€οΈβ€οΈβ€οΈ......TEAM_OF_13Starring @team_of_13
0 comments
No comments yet.