Shayarisidhumaan presents

Ek kachodi do samosa kuch mardo ka kya bharosa yaa naa mardo ka kya bharosa kyuke Mardo Ne Hamesha aurto ko Apne Naseeb ki Barkat hi kaha Behen ko Rehmat Kaha Maao ko Jannat Kaha Mardo ne aurto ko jab bhi likha Khoobsurat Hi Likha tum Woh Aurat Ho Jiske liye shayar Sher Kehte hain Siyasat Daan Jhooth Bolte hain tum Woh Aurat Ho Jiske liye keede se resham manga gaya Ret Se Sheesha Paida kiya gaya Paani Se Moti Nikale gaye Dharti ka seena Khod ke Sona Nikala Gaya tum Woh Aurat Ho Jiske liye ghar Banaya Gaya ghar Ke Gird Baag lagaye gaye Baag mein Phool ugaye gaye Phir Un Phoolon ko Tumhari Zulfon mein Tanga gaya Phir Har Mard ek jaisa kese ho skta hai? (poetry,shayari,women,Du protest) #delhiprotest #men #womensafety #mard #shayari

A Shayari by Sidhant Maan

@sidhumaan ·
Sponsored

Related

0 comments

No comments yet.